Skip to main content

Reply to "TRANSLATIONS OF URDU POETRY:"

TRANSLATIONS OF URDU POETRY:

POET: AHMAD FARAZ:

 

10) KARUNA YAAD MAGAR KIS TARHA BHULAON USE

 

Karoon na yaad magar kis tarha bhulaoon use 
Stop remembering her, I can but how could I forget her?
Ghazal bahana karoon aur gun-gunaoon use
I can pretend she is a love song, and sing on

 

Woh khaar khaar hai shaakh-e-gulab ki manind
She is all thorns, just like a rose branch,
Main zakhm zakhm hoon, phir bhi gale lagaoon use
I am all wounds, yet I would embrace her

Yeh log tazkiren karte hain apne logon ke
These people keep talking about their loves,

Main kaise baat karoon, aur kahan se laoon use
How shall I speak, and from where shall I produce her?

 

Magar vo zud faraamosh zud ranj bhi hai
Ke ruth jaaye agar yaad kuchh dilaaun  use

 

Vahi jo daulat-e-dil hai vahi jo raahat-e-jaan
Tumhaari baat pe ai naasiho ganvaaun use

Jo humsafar sar-e-manzil bichad raha hai 'Faraz'
The companion who leaves Faraz at the destination,
Ajab nahin hai agar yaad bhi na aaoon use
It is not surprising if she does not even remember me

 

Trans: Venkat

FM
×
×
×
×
×
×