Skip to main content

 

DEAR SIR

I SHALL BE GREATFUL TO YOU IF ARRANGE AN ENGLISH TRANSLATION OF THE GHAZAL:

GAYE DINON KA SURAGH LAY KAR BY NASIR KAZMI



THE VERSION SUNG BY GHULAM ALI AND ASHA BHONSLE


I HAVE ENGLISH TRANSLATION OF THIS GHAZAL BUT IT DOES NOT CARRY THE COUPLETS SUNG BY THESE TWO..ASHA & GHULAM ALLI THOUGH THESE ARE ALSO PART OF THE SAME GHAZAL.



I AM REALLY SURPRISED TO NOTE THAT YOU HAVE NOT INCLUDED THIS MASTERLY-WRITTEN GHAZAL OF KAZMI.



M.P. SHARDA, NEW DELHI

Replies sorted oldest to newest

 
This one is not in our database will try to get someone to translate, maybe if
Ven sees this he will readily help.
 
GAYE DINON KA SURAGH LEKAR
 
Gaye dinon ka suragh lekar,
Kidhar se aaya kidhar se gaya woh
Ajeeb manoos ajnabi thaa,
Mujhe to hairaan kar gaya woh
 
(Bus ek moti si chabb dikha kar,)2
Bus ek meethi si dunnh suna kar
Sitara-e-shaam ban ke aaya,
Barang-e-khwaab-e-sehar gaya woh
 
Ajeeb manoos ajnabi thaa,
Mujhe to hairaan kar gaya woh
Gaye dinon ka suragh lekar,
 
(Na abh woh yadon ka chadta darya,)2
Na fursaton ki uddas barkha
(Yoonhi zara si kasak hai dil mein,)2
Jo zakhm gehra thaa, bhar gaya woh

 

Ajeeb manoos ajnabi thaa,

Mujhe to hairaan kar gaya woh

Gaye dinon ka suragh lekar,

Woh hijr ki raat ka sitara, 



Woh hum-nafas hum sukhan humara
(Sada rahe uska naam pyaara,)2
Suna hai kal raat margaya woh

 

Ajeeb manoos ajnabi thaa,

Mujhe to hairaan kar gaya woh

Gaye dinon ka suragh lekar,

 

(Woh raat ka be-nava musafir,)2 

Woh tera shayar, woh tera 'Nasir'

Teri gali tak to ham na dekha thaa,
Phir na jaane' kidhar gaya woh
 
Ajeeb manoos ajnabi thaa,

Mujhe to hairaan kar gaya woh

Gaye dinon ka suragh lekar,

FM

Add Reply

×
×
×
×
×
Link copied to your clipboard.
×
×